Top Best Attitude Shayari Status in Hindi for Whatsapp and Facebook

If you are looking for top best attitude shayari status in hindi then you will get the best attitude shayari status . Lot of people like to post attitude status as profile photos. The best attitude status images for whatsapp and facebook are very popular. Top Best Attitude Status Profile Photos

top best attitude shayari status in hindi

Aag lagana meri fitrat mein nahi hai
Meri Saadgi se log jale to mera kya kasoor

आग लगाना मेरी फितरत में नही है,
मेरी सादगी से लोग जलें तो मेरा क्या कसूर।

Abhi aankhon ki shammayaein jal rahi hain pyar zinda hai
Abhi maayoos mat hona abhi bimaar zinda hai
Hazaron zakhm khaakar bhi main dushman ke muqaabil hoon
khuda ka shukra ab tak dile-e-khuddar zinda hai

अभी आँखों की शमाएं जल रही हैं प्यार जिंदा है,
अभी मायूस मत होना अभी बीमार ज़िंदा है,
हजारों जख्म खाकर भी मैं दुश्मन के मुक़ाबिल हूँ,
खुदा का शुक्र अब तक दिल-ए-खुद्दार जिंदा है।

Abhi kaanch hoon isliye duniya ko chubhta hoon
Jan aaina ban jaunga , poori duniya dekhegi.

अभी काँच हूँ इसलिए दुनिया को चुभता हूँ,
जब आइना बन जाऊँगा… पूरी दुनिया देखेगी।

Andaz kuchh alag hi mere sochne ka hai
Sabko manzilon ka hai shaunk , mujhe raaste ka hai.

अंदाज़ कुछ अलग ही मेरे सोचने का है,
सब को मंजिलों का है शौक , मुझे रास्ते का है।

Apni mohabbat ke liye aashiyana badal denge
Dil ne chaha to ye fasaana badal denge
Arey duniya walo tumhari hasti hi kya hai
Zaroorat padi to saara zamana hi badal denge

अपनी मोहब्बत के लिए आशियाना बदल देंगे,
दिल ने चाहा तो ये फ़साना बदल देंगे,
अरे दुनिया वालों तुम्हारी हस्ती ही क्या है,
जरूरत पड़ी तो सारा ज़माना ही बदल देंगे।

Kuchh Ajeeb Shakhiyat hai hum dono ki
Na wo ghzal mein bayaan hoti hai na hum status mein

कुछ अजीब शख्सियत है हम दोनों की…
न वो #Ghazal में बयाँ होती हैं न हम #Status में।

 

Aukat ki baat mat kar pagli
Hum jis gali mein pair rakhte hain
Wahan ki ladkiyan aksar kehti hain,
Baharo phool barsaao mera mehboob aaya hai.

औकात की बात मत कर पगली…
हम जिस गली में पैर रखते हैं,
वहाँ की लड़कियां अक्सर कहती हैं,
बहारो फूल बरसाओ मेरा महबूब आया है।

Badalana chahate ho to shauk se badlo
Magar itna yaad rakhna
Jo hum badle to karwatein badalte reh jaoge

बदलना चाहते हो तो शौक से बदलो,
मगर इतना याद रखना…
जो हम बदले तो करवटें बदलते रह जाओगे।

 

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte
Jaam chheen kar kisi ka piya nahi karte
pyar karna hai to khud aa ke kar warna
peechcha hum kisi ka kiya nahi karte

बेखुदी की जिंदगी हम जिया नहीं करते,
जाम छीन कर किसी का पिया नहीं करते,
प्यार करना है तो खुद आ के कर वरना,
पीछा हम किसी का किया नहीं करते।

Bhool kar humein agar tum rehte ho salamat
To bhool kar tumko sambhalna humein bhi aata hai
Meri fitrat mein ye aadat nahin hai warna
Teri tarah badal jaana mujhe bhi aata hai

भूलकर हमें अगर तुम रहते हो सलामत,
तो भूलके तुमको संभालना हमें भी आता है,
मेरी फ़ितरत में ये आदत नहीं है वरना,
तेरी तरह बदल जाना मुझे भी आता है।

Bewaqt , Bewajah , Behisaab muskura deta hoon
Aadhe dushmano ko to yun hi hara deta hoon

बेवक़्त, बेवजह, बेहिसाब मुस्कुरा देता हूँ,
आधे दुश्मनो को तो यूँ ही हरा देता हूँ।

Baat unhi ki hoti hai , jinme koi baat hoti hai

बात उन्हीं की होती है, जिनमें कोई बात होती है।

Bas khuddari hi meri daulat hai
Jo meri hasti mein rehti hai
Baaki zindagi to fakiri hai
Wo apni masti mein rehti hai

बस खुद्दारी ही मेरी दौलत है
जो मेरी हस्ती में रहती है,
बाकी ज़िन्दगी तो फकीरी है
वो अपनी मस्ती में रहती है।

Baithta wahin hoon, jahan apnepan ka ehsaas ho
Yun to zindagi mein kitne hi log aawaaz dete hain mujhko

बैठता वहीं हूँ, जहाँ अपनेपन का अहसास है मुझको,
यूँ तो ज़िंदगी में कितने ही लोग आवाज देते हैं मुझको।

Block kar de mujhko warna pyar ho jayega tujhko

ब्लॉक कर दे मुझको वरना प्यार हो जायेगा तुझको।

Chalo rehne dete hain mulaqaaton ke silsile
Main apne suroor mein khush tum apne guroor mein

चलो रहने देते हैं मुलाकातों के सिलसिले,
मैं अपने सुरूर में खुश तुम अपने गुरुर में।

Darte nahin hum sabko dete hain
Achche achchon ko sabak sikha dete hain
Hum jahan kahin bhi rehte hain
Apni dariyadili dikha dete hain.

डरते नहीं हम सबको डरा देते हैं,
अच्छे-अच्छों को सबक सिखा देते हैं,
हम जहाँ कहीं भी रहते हैं…
अपनी दरियादिली दिखा देते हैं।

Dikhave ki mohabbat to zamane ko hai humse par
Ye dil to wahan bikeg jahan jazbaaton ki kadar hogi

दिखावे की मोहब्बत तो जमाने को हैं हमसे पर,
ये दिल तो वहाँ बिकेगा जहाँ ज़ज्बातो की कदर होगी।

Dushmano ko saza dene ki ek tehzeeb hai meri
Main haath nahin uthata , nazaron se gira deta hoon

दुशमनों को सज़ा देने की एक तहज़ीब है मेरी।
मैं हाथ नहीं उठाता, नज़रों से गिरा देता हूँ।

Dilon se khelna humein bhi aata hai par
Jis khel mein khilona toot jaye ,
wo khel humein padand nahi.

दिलों से खेलना हमें भी आता है पर
जिस खेल में खिलौना टूट जाए,

वो खेल हमें पसंद नही..!

 

Guzare huye lamhon mein sadiyan talash karta hoon
pyas gehri hai ki nadiyan talash karta hoon
yahan sab log ginaate hain apni khoobiyan
main apne aap mein kamiyan talash karta hoon

गुजरे हुए लम्हों में सदियाँ तलाश करता हूँ,
प्यास गहरी है कि नदियाँ तलाश करता हूँ,
यहाँ सब लोग गिनाते है खूबियां अपनी,
मैं अपने-आप में कमियाँ तलाश करता हूँ।

Haath mein ghadi tu koi bhi pehan le lekin waqt to humara hai

हाथ में घड़ी तू कोई भी पहन ले लेकिन वक़्त तो हमारा है।

Haq se do to tumhari nafrat bhi kubool humein
khairat mein to hum tumhari mohabbat bhi na lein

हक़ से दो तो तुम्हारी नफरत भी कबूल हमें,
खैरात में तो हम तुम्हारी मोहब्बत भी न लें।

Humare dil mein bhi jhaanko agar mile fursat
hum  apne chehre se itne nazar nahi aate

हमारे दिल में भी झांको अगर मिले फुर्सत,
हम अपने चेहरे से इतने नज़र नहीं आते।

Humari haisiyat ka andaza
tum ye jaan ke laga lo
hum kabhi unke nahi hote
jo har kisi ke ho jaye

हमारी हैसियत का अंदाज़ा,
तुम ये जान के लगा लो,
हम कभी उनके नही होते,
जो हर किसी के हो जाए।

 

हजार ग़म मेरी फितरत नहीं बदल सके,
क्या करूँ मुझे आदत है मुस्कराने की।

Hum jaise itihaas rachte hain , tere jaise padte hain

हम जैसे इतिहास रचते हैं तेरे जैसे पढ़ते हैं।

Hum keemat se nahi ,kismat se mila karte hain

हम कीमत से नहीं, किस्मत से मिला करते हैं।

 

Hum to aaina hain , aaina hi rahenge
Fikr wo kare
Jinke chehre par kuchch aur
Dil mein kuchch aur hai

हम तो आईना हैं आईना ही रहेंगे,
फ़िक्र वो करें…
जिनके चेहरे पर कुछ और
दिल में कुछ और है।

Jahan kadar na ho apni wahan jaana fizool hai
Chahe kisi ka ghar ho , chahe kisi ka dil

जहाँ कदर न हो अपनी वहाँ जाना फ़िज़ूल है,
चाहे किसी का घर हो चाहे किसी का दिल।

Jal jate hain mere andaaz se mere dushman
Kyunki ek muddat se maine na mohabbat badli
aur na hi dost badle

जल जाते हैं मेरे अंदाज से मेरे दुशमन…
क्यूंकि एक मुद्दत से मैंने न मोहब्बत बदली
और न ही दोस्त बदले।

Jee bhar gaya hai to mana kar de
Humein inkaar pasand hai intezaar nahin

जी भर गया है तो मना कर दे…
हमें इंकार पसंद है इंतज़ार नहीं।

Jeeta raha main apni dhun mein
Duniya ka kaayda nahin dekha
Rishta nibhaya to dil se nibhaya
Kabhi apna faayda nahin dekha

जीता रहा मैं अपनी धुन में,
दुनिया का कायदा नहीं देखा,
रिश्ता निभाया तो दिल से निभाया,
कभी अपना फायदा नहीं देखा।

Jo dil ko achcha lagta hai
usi ko dost kehta hoon
munaafa dekhkar rishton ki
siyasat main nahin karta

जो दिल को अच्छा लगता है
उसी को दोस्त कहता हूँ,
मुनाफ़ा देखकर रिश्तों की
सियासत मैं नहीं करता।

Kehte hai har baat zubaan se hum ishara nahin karte
Aasmaan par chalne wale zameen se guzaara nahin karte
Har haalaat badalne ki himmat hai hum mein
Waqt ka har faisla hum ganwara nahin karte

कहते है हर बात जुबां से हम इशारा नहीं करते,
आसमां पर चलने वाले जमीं से गुज़ारा नहीं करते,
हर हालात बदलने की हिम्मत है हम में,
वक़्त का हर फैसला हम गँवारा नहीं करते।

Koi jaadu nahin hai mere paas, bas baat dil se karta hoon

कोई जादू नहीं है मेरे पास… बस बात दिल से करता हूँ।

Mil jaye aasaani se unski khwaahish kise hai
Zidd to uski hai jo muqaddar mein nahi hai

मिल जाए आसानी से उसकी ख्वाहिश किसे है,
जिद तो उसकी है जो मुक़द्दर में नहीं है।

Jo mere se jale , zara side se chale

जो मेरे से जले… ज़रा साइड से चले।

Main ek sanjeeda sahil hoon
Mujhe maujon se kya matlab
Kai tufaan aaye par
Meri fitrat nahin badli

मैं एक संजीदा साहिल हूँ,
मुझे मौजों से क्या मतलब,
कई तूफ़ान आये पर,
मेरी फितरत नहीं बदली।

Main jab tak sharafat mein raha, tab tak aafat mein raha

मैं जब तक शराफत में रहा… तब तक आफ़त में रहा।

Mat itra meri mohabbat paakar pagli,
Tujhe kya pata tera number kitno ke baad aaya hai

मत इतरा मेरी मोहब्बत पाकर पगली…
तुझे क्या पता तेरा नम्बर कितनों के बाद आया है।

Mere bardaasht karne ka andaaza
Tu kya lagayegi pagli,
Teri umar se zyada mere jism par
Zakhmo ke nishaan hain.

मेरे बर्दाश्त करने का अंदाजा
तू क्या लगायेगी पगली,
तेरी उम्र से ज्यादा मेरे जिस्म पर
ज़ख्मो के निशाँ हैं।

Mere lafzon se na kar mere kirdaar ka faisla
Tera wajood mit jayega meri haqeeqat dhundte dhundte.

मेरे लफ्जों से न कर मेरे किरदार का फ़ैसला,
तेरा वजूद मिट जायेगा मेरी हकीकत ढूंढ़ते ढूंढ़ते।

Meri saadgi hi gumnaami mein rakhti hai mujhe
Zara sa bigad jaun to mashoor ho jaun.

मेरी सादगी ही गुमनामी में रखती है मुझे,
जरा सा बिगड़ जाऊं तो मशहूर हो जाऊं।

Meri soch aur meri aukaat dono teri samajh se baahar hai

मेरी सोच और मेरी औकात दोनों तेरी समझ से बाहर है।

Mila hoon khaak mein oonchi magar aukaat rakhi hai
Tumhari baat thi aakhir tumhari baat rakhi hai
Bhale hi pet ki khatir kahin din bech aaya hoon
Tumhari yaad ki khatir bhi poori raat rakhi hai.

मिला हूँ ख़ाक में ऊँची मगर औकात रखी है,
तुम्हारी बात थी आखिर तुम्हारी बात रखी है,
भले ही पेट की खातिर कहीं दिन बेच आया हूँ,
तुम्हारी याद की खातिर भी पूरी रात रखी है।

 

 

Mujhko mere wajood ki hadd tak na jaaniye
Behad hoon , behisaab hoon, beintehaan hoon main.

मुझको मेरे वजूद की हद तक न जानिए,
बेहद हूँ बेहिसाब हूँ बेइन्तहा हूँ मैं।

Mujhse nafrat karni hai to iraade mazboot rakhna
Zara se bhi chuke to mohabbat ho jayegi.

मुझसे नफरत करनी है तो इरादे मजबूत रखना…
जरा से भी चूके तो महोब्बत हो जायेगी।

 

Sar jhukane ki aadat nahin hai
Aansoo bahane ki aadat nahin hai
Hum kho gaye to pachchtaoge bahut
kyunki
Humari laut aane ki aadat nahin hai

सर झुकाने की आदत नहीं है,
आँसू बहाने की आदत नहीं है,
हम खो गए तो पछताओगे बहुत,
क्योंकि…
हमारी लौट आने की आदत नहीं है।

Sun pagli
Tu mohabbat hai meri isliye door hai mujhse
Agar zidd hoti to meri baahon mein hoti

सुन पगली…
तू मोहब्बत है मेरी इसलिए दूर है मुझसे,
अगर जिद होती तो मेरी बाहों में होती।

Suraj dhala to kad se oonche ho gaye saaye
Kabhi pairon se raundi thi yahi parchchaiyan humne.

सूरज ढला तो कद से ऊँचे हो गए साये,
कभी पैरों से रौंदी थी यहीं परछाइयां हमने।

 

 

Teri marzi se dhal jaun har baar ye mumkin nahin
mera bhi apna wajood hai , main koi aaina nahin.

तेरी मर्जी से ढल जाऊं हर बार ये मुमकिन नहीं,
मेरा भी अपना वजूद है, मैं कोई आइना नहीं।

Thodi khuddari bhi laazmi hai dosto
Usne hath chchudaya to humne chchod diya.

थोड़ी खुद्दारी भी लाजिमी थी दोस्तो,
उसने हाथ छुड़ाया तो हमने छोड़ दिया।

Thokar na laga mujhe patthar nahin hoon main
Hairat se na dekh koi manzar nahin hoon main
Teri nazar mein meri kadar kuchch bhi nahin
Magar unse puchch jinhe haasil nahin hoon main.

ठोकर ना लगा मुझे पत्थर नहीं हूँ मैं,
हैरत से ना देख कोई मंज़र नहीं हूँ मैं,
तेरी नज़र में मेरी कदर कुछ भी नही,
मगर उनसे पूछ जिन्हें हासिल नही हूँ मैं.

Tewar na dikhao to log aankh dikhane lag jate hain.

तेवर न दिखाओ तो लोग आँख दिखाने लग जाते हैं।

Tum laut ke aane ka takalluf mat karna
hum ek mhabbat ko dobara nahin karte.

तुम लौट के आने का तकल्लुफ़ मत करना,
हम एक मोहब्बत को दोबारा नहीं करते।

Tum zindagi mein aa to gaye ho magar itna yaad rakhna
Hum jaan de dete hain magar jaane nahin dete.

तुम ज़िंदगी में आ तो गए हो मगर इतना याद रखना,
हम जान दे देते हैं मगर जाने नहीं देते…।

Oonche aasmaan se meri zameen dekh lo
Tum khwab aaj koi haseen dekh lo
Agar aazmaana hai aitbaar ko mere to
Ek jhooth bolo aur mera yakeen dekh lo

ऊँचे आसमान से मेरी ज़मीन देख लो,
तुम ख्वाब आज कोई हसीं देख लो,
अगर आज़माना हैं ऐतबार को मेरे तो,
एक झूठ बोलो और मेरा यकीन देख लो।

Uski mohabbat aur meri fitrat mein farq sirf itna hai
ki uska attitude nahin jata aur mujhe jhukna nahin aata.

उसकी मोहब्बत और मेरी फ़ितरत में फर्क सिर्फ इतना है…
कि उसका एटीट्यूड नहीं जाता और मुझे झुकना नहीं आता।

 

Zindagi mein bahut kasht hain, phir bhi hum mast hain.

ज़िन्दगी में बहुत्त कष्ट है… फिर भी हम मस्त हैं।

(Visited 150 times, 1 visits today)

Leave a Reply