1000+ Best Ashq Aansu Sad Shayari in Hindi Images

Top Best Ashq Aansu Sad Shayari in Hindi Images – Here is the latest collection of Ashq Shayari , Aansoo Shayari , Sad Shayari , Ashq hindi shayari, Tears Shayari images, sad shayari images.

Shayari that you can feel . You can make these shayari as whatsapp dp profile pic or share with your friends. The sad love shayari in hindi will help you to reduce your stress caused by a break up . It will also motivate you to move forward in life and do something bigger.

Even tears can bring great successes . Use them as your strength . Aansoo Shayari in hindi will help you to achieve your goals. so smile

Also See :

 

Ashq Aansu Shayari in Hindi Images

 

 

 

Aaftab ki garmi se dariya ka paani khatm nahi hota

laila ke inkaar se majnu ka zajba kam nahi hota

Firaak ki musibat ho ya yaar ke vasla ki lajjat

Kisi bhi haal mein ashqon ka behna kaam kam nahi hota

आफताब की गर्मी से दरिया का पानी ख़त्म नहीं होता,
लैला के इंकार से मजनू का जज़्बा कम नहीं होता,
फ़िराक की मुसीबत हो या यार के वस्ल की लज़्ज़त,
किसी भी हाल में अश्कों का बहना कम नहीं होता।

 

Aaj Ashq Se Aankhon Mein Kyun Aaye Hue,
Gujar Gaya Hai Zaman Tujhe Bhulaye Hue.
आज अश्क से आँखों में क्यों हैं आये हुए,
गुजर गया है ज़माना तुझे भुलाये हुए।

Shayari

Aankhon mein aansoo le kar honthon se muskuraye

Hum jaise jee rahe hain koi jee ke to bataye

आँखों में आँसू लेके होठों से मुस्कुराये,
हम जैसे जी रहे हैं कोई जी के तो बताये।

Aankhon Mein Aansuon Ki Lakeer Ban Gayi,
Jaisi Chaahi Thi Waisi Hi Takdeer Ban Gayi,
Humne To Chalayi Thi Ret Mein Ungliyan,
Gaur Se Dekha To Aapki Tasvir Ban Gayi.

आँखों में आँसुओं की लकीर बन गयी,
जैसी चाही थी वैसी ही तकदीर बन गयी,
हमने तो चलाई थीं रेत में उँगलियाँ,
गौर से देखा तो आपकी तस्वीर बन गयी।

Aankhon mein kaun aa ke illahi nikal gaya

Kiski talaash mein mere ashq ravaan chale

आँखों में कौन आ के इलाही निकल गया,
किस की तलाश में मेरे अश्क़ रवां चले।

Abhi Se Kyun Chhalak Aaye Tumhari Aankh Mein Aansoo,
Abhi Chhedi Kahan Hai Daastaan-e-Zindagi Maine.
अभी से क्यों छलक आये तुम्हारी आँख में आँसू,
अभी छेड़ी कहाँ है दास्तान-ए-ज़िंदगी मैंने।

Apne dil ka sukoon maine kho diya

Khud ko aansuon ke samandar mein dubo diya

Jo tha mere muskurane ki wajah

Aaj usi ki kami ne palkon ko bhigo diya

अपने दिल का सुकून मैंने खो दिया,
खुद को आँसुओं के समंदर में डुबो दिया,
जो था मेरे मुस्कुराने की वजह,
आज उसी की कमी ने पलकों को भिगो दिया।

Aansoo mere dekh kar tu pareshaan kyun hai e dost

ye wo alfaaz hain jo zubaan tak aa na sake

आंसू मेरे देखकर तू परेशान क्यों है ऐ दोस्त,
ये वो अल्फाज हैं जो जुबान तक आ न सके ।

Ashq hi mere din hai, ashq hi meri raatein

Ashqon mein hi ghuli hain wo beeti huyi baatein

अश्क़ ही मेरे दिन हैं अश्क़ ही मेरी रातें,
अश्कों में ही घुली हैं वो बीती हुयी बातें ।

 

Hamare aansoo paunchh kar wo muskurate hain

isi adaa se wo dil ko churate hain

Haath unka chhoo jaye hamare chehre ko

Isi umeed se hum khud ko rulate hain

हमारे आंसू पोंछ कर वो मुस्कुराते हैं,
इसी अदा से वो दिल को चुराते हैं,
हाथ उनका छू जाये हमारे चेहरे को,
इसी उम्मीद में हम खुद को रुलाते हैं।

Hamare shaher aa jao sada barsaat rehti hai

Kabhi baadal baraste hain kabhi aankhein barasti hain

हमारे शहर आ जाओ सदा बरसात रहती है,
कभी बादल बरसते हैं कभी आँखें बरसतीं हैं।

Hasne Ki Justju Mein Dabaaya Jo Dard Ko,
Aansoo Humari Aankh Mein Patthar Ke Ho Gaye.

हँसने की जुस्तजू में दबाया जो दर्द को,
आँसू हमारी आँख में पत्थर के हो गए।

 

Haunsla tujhme na tha mujhse juda hone ka

Warna kaajal teri aankhon ka na yun faila hota

हौंसला तुझमें न था मुझसे जुदा होने का,
वरना काजल तेरी आँखों का न यूँ फैला होता।

Huye jispe meharbaan tum koi khusnaseeb hoga

Meri hasratein to nikli mere aansuon mein dhalkar

हुए जिसपे मेहरबां तुम कोई खुशनसीब होगा,
मेरी हसरतें तो निकलीं मेरे आंसुओं में ढलकर।

Inko kabhi aankh se girane nahi deta

Unko lagte hain meri aankh mein pyae aansu.

इनको कभी आँख से गिरने नहीं देता,
उनको लगते हैं मेरी आँख में प्यारे आँसू।

Jab jab unse milne ki umeed nazar aayi

Tab tab mere pairon mein zanjeer nazar aayi

Nikal pade inn aankhon se hazaaron aansu

Har aansu mein aapki tasweer nazar aayi

जब जब तुमसे मिलने की उम्मीद नजर आई,
तब तब मेरे पैरों में ज़ंजीर नजर आई,
निकल पड़े इन आँखों से हजारों आँसू,
हर आँसू में आपकी तस्वीर नजर आई।

Jaan-e-tanha pe guzar jaatye hazaaron sadme

Aankh se ashq ravaan ho ye zaroori to nahi

Sahir Ludhiyanavi

जान-ए-तन्हा पे गुजर जायें हजारो सदमें,
आँख से अश्क रवाँ हों ये ज़रूरी तो नहीं।

Jab Lafz Thak Gaye Toh Phir Aankhon Ne Baat Ki,
Jo Aankhein Bhi Thak Gayin Toh Ashqon Se Baat Hui.
जब लफ्ज़ थक गए तो फिर आँखों ने बात की,
जो आँखें भी थक गयीं तो अश्कों से बात हुई।

Jise Le Gayi Hai Abhi Hawa,
Wo Warq Tha Dil Ki Kitaab Ka,
Kahin Aansuon Se Mita Hua,
Kahin Aansuon Se Likha Hua.

जिसे ले गई है अभी हवा
वो वरक़ था दिल की किताब का,
कहीं आँसुओं से मिटा हुआ
कहीं आँसुओं से लिखा हुआ।

 

Kalam chaklti hai to dil ki aawaaz likhta hoon

Gham aur judaai ke andaaz-e-bayaan likhta hoon

Rukte nahi hain meri aankhon se aansu

Main jab bhi uski yaad mein alfaaz likhta hoon

कलम चलती है तो दिल की आवाज लिखता हूँ,
गम और जुदाई के अंदाज़-ए-बयां लिखता हूँ,
रुकते नहीं हैं मेरी आँखों से आँसू,
मैं जब भी उसकी याद में अल्फाज़ लिखता हूँ।

Kam Nahi Hain Aansoo Meri Ankhon Mein Magar,
Rota Nahi Ke Unme Uski Tasveer Dikhti Hai.

कम नहीं हैं आँसू मेरी आँखों में मगर,
रोता नहीं कि उनमें उसकी तस्वीर दिखती है।

Kaun kehta hai ki

Aansuon ka wajan nahi hota

Ek bhi chhalak jata hai

To mann Halka hot jata hai

कौन कहता है कि
आंसुओं में वज़न नहीं होता,
एक भी छलक जाता है
तो मन हल्का हो जाता है ।

 

Khamosh Rehne Do Lafzon Ko,
Aankhon Ko Bayaan Karne Do Hakiqat,
Ashq Jab Niklenge Jheel Ke,
Muqaddar Se Jal Jayenge Afsane.

खामोश रहने दो लफ़्ज़ों को,
आँखों को बयाँ करने दो हकीकत,
अश्क़ जब निकलेंगे झील के,
मुक़द्दर से जल जायेंगे अफसाने।

 

Likhna To Tha Ki Khush Hoon Tere Bagair Bhi,
Aansoo Magar Kalam Se Pehle Hi Gir Pade.

लिखना तो था कि खुश हूँ तेरे वगैर भी,
आँसू मगर कलम से पहले ही गिर पड़े।

Mere ashq teri berukhi ka ehsaas hain

Teri yaad mein ye phir begaane ho chale

मेरे अश्क़ तेरी बेरुखी का एहसास हैं,
तेरी याद में ये फिर बेगाने हो चले।

 

Mere khat mein jo bheegi bheegi si likhwat hai

sayahi mein thodi si mere ashqon ki milawat hai

मेरे ख़त में जो भीगी भीगी सी लिखावट है,
स्याही में थोड़ी सी मेरे अश्कों की मिलावट है।

Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai.

मुझे मालूम है तुमने बहुत बरसात देखी है,
मगर मेरी इन्हीं आँखों से सावन हार जाता है।

Mujhko loot kar jaane wale chale gaye

Meri aankhon se need chura kar le gaye

Mohabbat ki dil se to aansu gire

log unhe moti samajh kar utha le gaye

मुझको लूट कर जाने वाले चले गए,
मेरी आँखों से नींद चुरा कर ले गये,
मोहब्बत की दिल से… तो आँसू गिरे,
लोग उन्हें मोती समझकर उठा ले गये।

Na Jaane Kaun Sa Aansoo Mera Raaz Khol De,
Hum Iss Khayal Se Najrein Jhukaye Baithhe Hain.
न जाने कौन सा आँसू मेरा राज़ खोल दे,
हम इस ख़्याल से नज़रें झुकाए बैठे हैं।

Piro Diye Mere Aansoo Hawa Ne Shaakhon Mein,
Bharam Bahaar Ka Waaki Raha Aankhon Mein.
पिरो दिये मेरे आँसू हवा ने शाखों में,
भरम बहार का वाकी रहा आँखों में।

Raah Takte Huye Jab Thak Gayi Meri Aankhein,
Fir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansoo Nikle.

राह तकते हुए जब थक गई मेरी आँखें,
फिर तुझे ढूढ़ने मेरी आँख के आँसू निकले।

 

Rote lete hain kabhi kabhi

Taki aansuon ko bhi koi shikayat na rahe

रो लेते हैं कभी कभी,
ताकि आंसुओं को भी कोई शिकायत ना रहे।

Rone ki sazaa hai na rulane ki sazaa hai

ye dard mohabbat ko nibhane ki sazaa hai

Hanste hain to aankhon se nikalte hain aansu

Ye us shakhs se dil lagane ki sazaa hai

रोने की सज़ा है न रुलाने की सज़ा है,
ये दर्द मोहब्बत को निभाने की सज़ा है,
हँसते हैं तो आँखों से निकलते हैं आँसू,
ये उस शख्स से दिल लगाने की सज़ा है।

Rone Wale To Dil Mein Hi Ro Lete Hain,
Aankho Mein Aansoo Aayein Ye zaroori To Nahi

रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं,
आँखों में आँसू आयें ये जरूरी तो नहीं।

सदफ की क्या हकीकत है, अगर उसमें न हो गौहर,
न क्यों कर आबरू हो आंख की मौकूफ आंसू पर।

Shayad Tu Kabhi Pyasa Phir Meri Taraf Laut Aaye,
Aankhon Mein Liye Phirta Hoon Dariya Teri Khatir.
शायद तू कभी प्यासा फिर मेरी तरफ लौट आये,
आँखों में लिए फिरता हूँ दरिया तेरी खातिर।

Tere Na Hone Se Zindagi Mein
Bas Itni Si Kami Rehti Hai,
Main Lakh Muskuraaun Fir Bhi
Inn Aankhon Mein Nami Rehti Hai.

तेरे ना होने से ज़िन्दगी में
बस इतनी सी कमी रहती है,
मैं लाख मुस्कुराऊँ फिर भी
इन आँखों में नमी रहती है।

 

 

 

 

Thame aansu to phir tum shauk se ghar ko chale jaane

Kahan jaate ho iss tufan mein paani zara thehre

थमे आँसू तो फिर तुम शौक़ से घर को चले जाना,
कहाँ जाते हो इस तूफ़ान में पानी ज़रा ठहरे।

nia sharma

Uska aks dil mein iss kadar basa hai

Barson aansu bahe magar tasweer na dhuli

उसका अक्स दिल में इस कदर बसा है,
बरसों आँसू बहे मगर तसवीर न धुली।

Wahan Se Paani Ki Ek Boond Bhi Na Nikli,
Tamaam Umr Jin Aankhon Ko Jheel Likhte Rahe.
वहाँ से पानी की एक बूँद भी न निकली,
तमाम उम्र जिन आँखों को झील लिखते रहे।

 

Wo nadiya nahi aansu the mere

Jis par wo kashti chalate rahe

Manzil mile unhe ye chahat thi meri

Isiliye hum aansu bahate rahe

वो नदियाँ नहीं आंसू थे मेरे,
जिस पर वो कश्ती चलाते रहे,
मंजिल मिले उन्हें यह चाहत थी मेरी,
इसलिए हम आंसू बहाते रहे।

 

 

Ye Saaneha Bhi Mohabbat Mein Baar-Ha Gujra,
Ke Usne Haal Bhi Poochha To Aankh Bhar Aayi.

ये सानेहा भी मोहब्बत में बार-हा गुजरा,
कि उस ने हाल भी पूछा तो आँख भर आई।

Ye to achchha hai ki aansu berang hua karte hain

Warna raaton ko bhige takiye saare raaz khol dete

ये तो अच्छा है कि आँसू बे रंग हुआ करते है,
वरना रातों को भीगे तकिये सारे राज़ खोल देते।

(Visited 315 times, 1 visits today)

Leave a Reply