Aajkal Dekhabhal Kar Hote Hain Pyar Ke Saude,
Wo Daur Aur The Jab Pyar Andha Hota Tha.
आजकल देखभाल कर होते हैं प्यार के सौदे,
वो दौर और थे जब प्यार अन्धा होता था।
Ab Kisi Aur Se Mohabbat Kar Loon Aye Sanam,
To Shikayat Mat Karna Ye Buri Aadat Bhi Mujhe Tumse Hi Lagi Hai.
अब किसी और से मोहब्बत कर लूं ऐ सनम,
तो शिकायत मत करना ये बुरी आदत भी मुझे तुमसे ही लगी है।
Achha Hun Ya Bura Hun Apne Liye Hun…
Mai Khud Ko Nahi Dekhta Auro Ki Najar Se.
अच्छा हूँ या बुरा हूँ अपने लिए हूँ…
मै खुद को नही देखता औरो की नजर से।
Apni Haar Par Itna Shakoon Tha Mujhe,
Jab Usne Gale Lagaya Jeetne Ke Baad.
अपनी हार पर इतना शकून था मुझे,
जब उसने गले लगाया जीतने के बाद।
Bach Bach Ke Chalta Raha Kanto Se Umr Bhar,
Kya Khabar Thi Ki Chot Phool Se Lag Jayegi.
बच बच के चलता रहा कांटो से उम्र भर,
क्या खबर थी कि चोट फूल से लग जायेगी।
Bas Khamoshi Jala Deti Hai Is Dil Ko,
Baaki To Sab Baatein Achchhi Hain Teri Tasveer Mein.
बस ख़ामोशी जला देती है इस दिल को,
बाकि तो सब बाते अच्छी हैं तेरी तस्वीर में।
Be-Fizooli Ki Zindagi Ka Sil-Sila Khatm,
Jis Tarah Ki Duniya Us Tarah Ke Ham.
बे-फिजूली की जिंदगी का सिल-सिला ख़त्म,
जिस तरह की दुनिया उस तरह के हम।
Chal Pade Hain Fikare Yaar Dhuen Mein Uda Ke
Meree Neem See Zindagee Shahad Kar De.
चल पड़े हैं फ़िकरे यार धुएं में उड़ा के
मेरी नीम सी ज़िन्दगी शहद कर दे।
Chhodo Na Yaar, Kya Rakha Hai Sunne Sunane Mein
Kisi Ne Kasar Nahin Chhodi Dil Dukhane Mein.
छोड़ो ना यार, क्या रखा है सुनने सुनाने में
किसी ने कसर नहीं छोड़ी दिल दुखाने में।
Do Shabd Tasalli Ke Nahi Milte Is Shahar Mein,
Log Dil Mein Dimaag Liye Ghoomte Hain.
दो शब्द तसल्ली के नहीं मिलते इस शहर में,
लोग दिल में भी दिमाग लिए घूमते हैं।
Gar Wafaon Mein Sadaqat Bhi Ho Aur Shiddat Bhi,
Phir To Ehasaas Se Patthar Bhi Pighal Jaate Hain.
गर वफ़ाओं में सदाक़त भी हो और शिद्दत भी,
फिर तो एहसास से पत्थर भी पिघल जाते हैं।
Hazaar Jawabon Se Achchhi Hai Khamoshi Meri,
Na Jaane Kitne Sawalon Ki Aabroo Rakhti Hai.
हजार जवाबों से अच्छी है खामोशी मेरी,
ना जाने कितने सवालों की आबरू रखती है।
Hamara Katl Karne Ki Unki Saajish To Dekho,
Gujre Jab Kareeb Se To Chehre Se Parda Hata Liya.
हमारा कत्ल करने की उनकी साजीश तो देखो,
गुजरे जब करीब से तो चेहरे से पर्दा हटा लिया।
Humne Jo Guzare Khamoshi Mein Din,
Logon Ne Kaise Kaise Fasane Bana Liye.
हमने जो गुजारे खामोशी में दिन,
लोगों ने कैसे कैसे फसाने बना लिये।
Humne Roti Huyi Aankhon Ko Hasaya Hai Sada,
Is Se Behtar Ibadat To Nahin Hogi Hamse.
हम ने रोती हुई आँखों को हँसाया है सदा,
इस से बेहतर इबादत तो नहीं होगी हमसे।
Itna Kahan Masharoof Ho Gaye Ho Tum,
Aajkal Dil Dukhane Bhi Nahin Aate.
इतना कहाँ मशरूफ हो गए हो तुम,
आजकल दिल दुखाने भी नहीं आते।
Kaise Chaloon Tere Ehsaas Ke Bina Do Kadam Bhi Main,
Ladkhadati Zindagi Ki Aakhari Baisakhi Ho Tum.
कैसे चलूँ तेरे एहसास के बिना दो कदम भी मैं,
लड़खड़ाती जिदंगी की आखरी बैसाखी हो तुम।
Kaun Kaisa Hai Ye Hi Fikr Rahi Tamaam Umr,
Hum Kaise Hain Ye Kabhi Bhool Kar Bhi Nahi Socha.
कौन कैसा है ये ही फ़िक्र रही तमाम उम्र,
हम कैसे हैं ये कभी भूल कर भी नही सोचा।
Khud Ke Liye Kabhi Kuchh Maanga Nahin,
Auron Ke Liye Sar Jhukane Padte Hain.
खुद के लिए कभी कुछ माँगा नहीं,
औरों के लिए सर झुकाने पड़ते हैं।
Khwahishon Ka Mohalla Bahut Bada Hota Hai,
Behtar Hai Ham Jarooraton Ki Gali Mein Mud Jaen.
ख्वाहिशों का मोहल्ला बहुत बड़ा होता है,
बेहतर है हम जरूरतों की गली में मुड़ जाएं।
Khawahish Nahi Mujhe Mashhoor Hone Ki Ai Sanam,
Aap Mujhe Pahchante Ho Bas Itna Hi Kaafi Hai.
खवाहिश नही मुझे मशहूर होने की ऐ सनम,
आप मुझे पहचानते हो बस इतना ही काफी है।
Kirdaar Ki Kadr Hoti Hai Warna Kad Mein To,
Saaya Bhi Insan Se Bada Hota Hai.
किरदार की कद्र होती है वरना कद में तो,
साया भी इंसान से बड़ा होता है।
Kisi Ko Talashte Talashte Khud Ko Kho Dena,
Aansa Hai Kya Aashiq Ho Jaana.
किसी को तलाशते तलाशते खुद को खो देना,
आंसा है क्या आशिक हो जाना।
Kuchh Alag Sa Hai Apni Mohabbat Ka Haal Hai,
Teri Chuppi Aur Mera Sawaal .
कुछ अलग सा है अपनी मोहब्बत का हाल है,
तेरी चुप्पी और मेरा सवाल।
Kya Aisa Nahin Ho Sakta Ki Ham Pyar Mange,
Aur Tum Gale Laga Ke Kaho Aur Kuchh??
क्या ऐसा नहीँ हो सकता की हम प्यार मांगे,
और तुम गले लगा के कहो और कुछ??
Laut Aati Hai Har Baar Ibadat Meri Khali,
Na Jane Kis Oonchai Pe Mera Khuda Rahta Hai.
लौट आती है हर बार इबादत मेरी खाली,
न जाने किस ऊँचाई पे मेरा ‘खुदा’ रहता है।
Main Ek Shaam Jo Roshan Diya Utha Laya,
Tamam Shahar Kahin Se Hawa Utha Laya.
मैं एक शाम जो रोशन दिया उठा लाया,
तमाम शहर कहीं से हवा उठा लाया।
Mar Jane Ki Khwaish Ko Main Kuchh Is Kadar Mara Karta Hoon,
Dil Ke Jahar Ko Main Kaagaz Par Utara Karta Hoon.
मर जाने की ख्वाइश को मैं कुछ इस कदर मारा करता हूँ,
दिल के जहर को मैं कागज पर उतरा करता हूँ।
Mera Rab Jab Bhi Sawalaat Karega Agar Qayaamat Mein,
To Hum Bhi Keh Denge Lut Gaye Hum Sharafat Mein.
मेरा रब जब भी सवालात करेगा अगर क़यामत में,
तो हम भी कह देंगे लुट गए हम शराफत में।
Mere Irade Meri Taqdeer Badalne Ko Kaafi Hain,
Meri Kismat Meri Lakeeron Ki Mohtaaz Nahin.
मेरे इरादे मेरी तक़दीर बदलने को काफी हैं,
मेरी किस्मत मेरी लकीरों की मोहताज़ नहीं।
Meri Aawaaz Hi Parda Hai Mere Chehre Ka,
Main Hoon Khamosh Jahan, Mujhko Wahan Se Sunie.
मेरी आवाज़ ही परदा है मेरे चेहरे का,
मैं हूँ ख़ामोश जहाँ, मुझको वहाँ से सुनिए।
Mohabbat Khoobasurat Hogi Kisi Aur Duniyaan Mein,
Idhar To Ham Par Jo Guzari Hai Ham Hi Jaante Hain.
मोहब्बत ख़ूबसूरत होगी किसी और दुनियाँ में
इधर तो हम पर जो गुज़री है हम ही जानते हैं
Nazaron Mein Doston Ki Jo Itna Kharab Hai,
Uska Qasoor Ye Hai Ke Wo Kaamyab Hai.
नजरों में दोस्तों की जो इतना खराब है,
उसका कसूर ये है कि वो कामयाब है।
Saathi To Mujhe Apne Sukh Ke Liye Chahiye
Dukhon Ke Liye To Main Akela Kafi Hoon.
साथी तो मुझे अपने सुख के लिए चाहिए
दुखों के लिए तो मैं अकेला काफी हूँ।
Suna Hai Ishq Se Teri Bahut Banti Hai,
Ek Ehsaan Kar Us Se Qasoor Puchh Mera.
सुना है इश्क़ से तेरी बहुत बनती है,
एक एहसान कर उस से क़ुसूर पुछ मेरा।
Teri Mohabbat Ko Kabhi Khel Nahi Samjha,
Warna Khel To Itne Khele Hai Ki Kabhi Haare Nahi.
तेरी मोहब्बत को कभी खेल नही समझा,
वरना खेल तो इतने खेले है कि कभी हारे नही।
Usne Har Nasha Saamne Lakar Rakh Diya Aur Kaha,
Sabse Buri Lat Kaun Si Hain, Maine Kaha Tere Pyar Ki.
उसने हर नशा सामने लाकर रख दिया और कहा,
सबसे बुरी लत कौन सी हैं, मैने कहा तेरे प्यार की।
Wajah Nafaraton Ki Talashi Jaati Hai,
Mohabbat To Bevajah Hi Ho Jaati Hai.
वजह नफरतों की तलाशी जाती है,
मोहब्बत तो बेवजह ही हो जाती है।
Yahaan Sab Khamosh Hain Koi Aawaaz Nahin Karta,
Sach Bolkar Koi, Kisi Ko Naraaz Nahin Karta.
यहाँ सब खामोश हैं कोई आवाज़ नहीं करता,
सच बोलकर कोई, किसी को नाराज़ नहीं करता।